Saturday 9 July 2011

sambhalte-sambhalte

Aaj kal july ka mahina chal raha hai ,is mahine me mai ,meri Mummy ,Papa aur Wife(pinky) ne is sundar sansar me janm liya .papa ji  ka sabse pahle janamdin aata tha phir mera uske baad mummy ka aur ant me pinky ka. Papa ji sab me rasgulla jarur  mangwate the.Do saal pahle Papa ji hum logo ko chod gae aur pichle saal mummy ham sab ko chod kar chali gai ,is liye hum aur pinki ne kuch bhi nahi manaya .vaise bhi ab kya manana sath baith kar kuch meeth kha lete hai aur kya . bachche apna birthday ka wait karte hai khastaur se mera beta .is saal usko cycle kharikar deni hai. kuch sanjog aisa raha ki pinky ko kabhi uske janmdin par kuch nahi de paya ,aaj sochta bhi hu par.....Mummy ke jane ke baab apne aapko sambhalte-sambhalte aaj kafi hadd tak sambhal chuka hun. kuch theek hona baki hai wo bhi theek ho jaega ,aisa bisswas hai agar sambhal kar nahi rahata to kya hota ,apne saath saath pure pariwar ko bhi to sambhalana hai na.....shesh firkabhi                                                                                                                              

sochte sochte

aaj kai din bad sochte sochte likhne ka time nikala.samaya aisa nikalta jata hai ki pata hi nahi chalta.dekte dekte 47 saal ka samay bhi beet gaya aur lagata hai ki kal ki hi baat hai.jab ham log chote thhe koi chinta nahi sirf khana khelna aur padhna.par aaj.....apne bachcho ko khilana khelana aur padhwana sab baare men sochte sochte  hi samay beet jata hai kuch bhi isthir nahi hai na . apne baare men ab sochne ka mauka hi nahi milta
.khair  kabhi kabhi aisa lagta hai ki yadi samne bhagwan aajae to usse  sirf yahi kahunga ki mere saath hi aisa kyun ho raha hai ,mere bachche abhi kafi chote hai kuch bhi akele nahi kar sakte,unko sahi rai dene wala chaihe saath  hi main thakta ja raha hu .apne baare me itna likhna chata hu ki kya bataun par na jane andar kaun sa dar ghar karta ja raha hai .pariwar me raha kar bhi PAR-IWAR me hu,ajib si soch hoti ja rahi hai .                                     aaj ka din pura rest day hai khali bachcho ke saath rahne ka mauka............

                                      

Sunday 19 June 2011

darte darte

aaj  jeevan me pahali baar  main khud apna blog likh raha hun.kabhi ssapne me socha bhi nahi tha ki aisa mouka aaega khair didi ko likhte hue dekta tha to sochta  tha ki kitna kathin kaam hai par shayad nahi shayad han.apne man ki bhavnao ko kabhi dar bhi lagta  hai likne me ya ye sochta hu ki log kya kahenge mere dwara likhe shabdbas aaj itna hi